na sikandar hai na dara hai na qaisar hai na jam
be-mahal KHak mein hain qasr banane wale
Mirza Raza Barq
nahin buton ke tasawwur se koi dil KHali
KHuda ne un ko diye hain makan sinon mein
Mirza Raza Barq
puchha agar kisi ne mera aa ke haal-e-dil
be-iKHtiyar aah labon se nikal gai
Mirza Raza Barq
uryan hararat-e-tap-e-furqat se main raha
har bar mere jism ki poshak jal gai
Mirza Raza Barq
chaman mein shab ko ghira abr-e-nau-bahaar raha
huzur aap ka kya kya na intizar raha
Mirza Shauq Lakhnavi
dekh lo hum ko aaj ji bhar ke
koi aata nahin hai phir mar ke
Mirza Shauq Lakhnavi
gae jo aish ke din main shabab kya karta
laga ke jaan ko apni azab kya karta
Mirza Shauq Lakhnavi

