qais jangal mein akela hai mujhe jaane do
KHub guzregi jo mil baiThenge diwane do
Miyan dad Khan Sayyah
turra-e-kakul-e-pechan ruKH-e-nurani par
chashma-e-aina mein sanp sa lahraata hai
Miyan dad Khan Sayyah
ab kisi dard ka shikwa na kisi gham ka gila
meri hasti ne baDi der mein paya hai mujhe
Moghisuddin Fareedi
hai 'faridi' ajab rang-e-bazm-e-jahan miT raha hai yahan farq-e-sud-o-ziyan
nur ki bhik taron se lene laga aaftab apni ek ek kiran bech ka
Moghisuddin Fareedi
hum ne manga tha sahaara to mili is ki saza
ghaTte baDhte rahe hum saya-e-diwar ke sath
Moghisuddin Fareedi
is daur mein insan ka chehra nahin milta
kab se main naqabon ki tahen khol raha hun
Moghisuddin Fareedi
sirf alfaz pe mauquf nahin lutf-e-suKHan
aankh KHamosh agar hai to zaban kuchh bhi nahin
Moghisuddin Fareedi

