اردو हिंदी
Na rahe nama o paigham ke lane wale | Shaahi Shayari
na rahe nama o paigham ke lane wale

Ghazal

Na rahe nama o paigham ke lane wale

Mirza Raza Barq

;

na rahe nama o paigham ke lane wale
KHak ke niche gae arsh ke jaane wale

kishwar-e-ishq ki rasmen ajab ulTi dekhin
saltanat karte hain sab dil ke churane wale

munimo aalam-e-duniya hai sara-e-ibrat
jaenge su-e-adam KHalq mein aane wale

boriya sath na jaega na taKHt-e-sultan
sab barabar hain bashar KHalq se jaane wale

koi baqi na raha hai na rahega koi
be-nishan ho gae sab shan dikhane wale

na sikandar hai na dara hai na qaisar hai na jam
be-mahal KHak mein hain qasr banane wale

apne ashaar ka ai 'barq' na kyun shohra ho
sath hain tair-e-mazmun ke uDane wale