اردو हिंदी
Dekhi jo zulf-e-yar tabiat sambhal gai | Shaahi Shayari
dekhi jo zulf-e-yar tabiat sambhal gai

Ghazal

Dekhi jo zulf-e-yar tabiat sambhal gai

Mirza Raza Barq

;

dekhi jo zulf-e-yar tabiat sambhal gai
aai hui bala mere sar par se Tal gai

puchha agar kisi ne mera aa ke haal-e-dil
be-iKHtiyar aah labon se nikal gai

uryan hararat-e-tap-e-furqat se main raha
har bar mere jism ki poshak jal gai

kaifiyat-e-bahaar jo yaad aai zer-e-KHak
dagh-e-junun se apni tabiat bahal gai

us ke dahan-e-tang ki tangi na puchhiye
ejaz samjhe baat jo munh se nikal gai

furqat mein ham-baghal jo hua 'barq' gor se
hasrat visal-e-yar ki dil se nikal gai