azan di kaba mein naqus dair mein phunka
kahan kahan tujhe aashiq tera pukar aaya
Mirza Raza Barq
azan di kabe mein naqus dair mein phunka
kahan kahan tujhe aashiq tera pukar aaya
Mirza Raza Barq
aad-e-fana bhi hai maraz-e-ishq ka asar
dekho ki rang zard hai mere ghubar ka
Mirza Raza Barq
e-bulae hue jaana mujhe manzur nahin
un ka wo taur nahin mera ye dastur nahin
Mirza Raza Barq
chhup saka dam bhar na raaz-e-dil firaq-e-yar mein
wo nihan jis dam hua sab aashkara ho gaya
Mirza Raza Barq
daulat nahin kaam aati jo taqdir buri ho
qarun ko bhi apna KHazana nahin milta
Mirza Raza Barq
dekh kar tul-e-shab-e-hijr dua karta hun
wasl ke roz se bhi umr meri kam ho jae
Mirza Raza Barq

