dil aur shama donon barabar hain soKHta
uThta hai kis jagah se dhuan dekhte raho
Mehboob Azmi
mauquf hai kyun hashr pe insaf hamara
qissa jo yahan ka hai to phir tai bhi yahin ho
Mehboob Azmi
altaf-o-karam ghaiz-o-ghazab kuchh bhi nahin hai
tha pahle bahut kuchh magar ab kuchh bhi nahin hai
Mehboob Rahi
din judai ka diya wasl ki shab ke badle
lene the ai falak-e-pir ye kab ke badle
Mela Ram Wafa
go qayamat se peshtar na hui
tum na aae to kya sahar na hui
Mela Ram Wafa
ek bar us ne mujh ko dekha tha muskura kar
itni to hai haqiqat baqi kahaniyan hain
Mela Ram Wafa
itni tauhin na kar meri bala-noshi ki
saqiya mujh ko na de map ke paimane se
Mela Ram Wafa

