jama kar ke dard sare tu ne paida dil kiya
kah tu ai dast-e-qaza is se kya hasil kiya
Meer Ziauddin Zia
kaun se zaKHm ka khula Tanka
aaj phir dil mein dard hota hai
Meer Ziauddin Zia
uswaiyon ki apni mujhe kuchh hawas nahin
naseh pa kya karun ki mera dil pe bas nahin
Meer Ziauddin Zia
gham ke bharose kya kuchh chhoDa kya ab tum se bayan karen
gham bhi ras aaya dil ko aur hi kuchh saman karen
Meeraji
'mir' mile the 'mira-ji' se baaton se hum jaan gae
faiz ka chashma jari hai hifz un ka bhi diwan karen
Meeraji
nagri nagri phira musafir ghar ka rasta bhul gaya
kya hai tera kya hai mera apna paraya bhul gaya
Meeraji
aaKHir gil apni sarf-e-dar-e-mai-kada hui
pahunchi wahin pe KHak jahan ka KHamir tha
Meerza Jawan Bakht Jahandar

