اردو हिंदी
Go qayamat se peshtar na hui | Shaahi Shayari
go qayamat se peshtar na hui

Ghazal

Go qayamat se peshtar na hui

Mela Ram Wafa

;

go qayamat se peshtar na hui
tum na aae to kya sahar na hui

aa gai nind sunne walon ko
dastan gham ki muKHtasar na hui

KHun kitne sitam-kashon ka hua
aankh us sang-dil ki tar na hui

us ne sun kar bhi an-suni kar di
maut bhi meri mo'atabar na hui

sath taqdir ne kabhi na diya
koi tadbir kargar na hui

chain ki justuju rahi din-raat
zindagi chain se basar na hui

mujh ko milti na ai 'wafa' manzil
aql qismat se rahbar na hui