phir kya hai jo ye raat Dhali jati hai aaKHir
wo wada-faramosh ho aisa bhi nahin hai
Meraj Lakhnavi
aankhen hain magar KHwab se mahrum hain 'midhat'
taswir ka rishta nahin rangon se zara bhi
Midhat-ul-Akhtar
hum ko usi dayar ki miTTi hui aziz
naqshe mein jis ka nam-pata ab nahin raha
Midhat-ul-Akhtar
jaane wale mujhe kuchh apni nishani de ja
ruh pyasi na rahe aankh mein pani de ja
Midhat-ul-Akhtar
jism us ki god mein ho ruh tere ru-ba-ru
fahisha ke garm bistar par riya-kari karun
Midhat-ul-Akhtar
KHwabon ki tijarat mein yahi ek kami hai
chalti hai dukan KHub kamai nahin deti
Midhat-ul-Akhtar
kuch karne ki ghaDi hai magar ai ham-safro
hum udhar ja nahin sakte jidhar sab gae hain
Midhat-ul-Akhtar

