aashna bewafa nahin hota
bewafa aashna nahin hota
Meer Hasan
ab jo chhuTe bhi hum qafas se to kya
ho chuki wan bahaar hi aaKHi
Meer Hasan
apne kahne mein to dil mutlaq nahin kis se kahen
kya karen ai naseho kuchh to karo irshad tum
Meer Hasan
asar howe na howe par bala se ji to bahlega
nikala shaghl tanhai mein main na-chaar rone ka
Meer Hasan
aur kuchh tohfa na tha jo late hum tere niyaz
ek do aansu the aankhon mein so bhar laen hain hum
Meer Hasan
anda buton ka kis ke kahe se hua ye dil
haq ki taraf se kya use ilham kuchh hua
Meer Hasan
as ab chaupaD uThao aur kuchh baaten karen sahab
jo main jita to tum jite jo tum haare to main haara
Meer Hasan

