yun aag mein se bhag nikalna nazar bacha
apne tain to waza na bhai sharar ki
Meer Asar
yun KHuda ki KHudai bar-haq hai
par 'asar' ki hamein to aas nahin
Meer Asar
aaina hi ko kab tain dikhlaoge jamal
bahar khaDe hain kitne aur ummid-war bhi
Meer Hasan
aabaad gar wo chahe dil ko to kar sake hai
manzur hai par is ko mera KHarab rakhna
Meer Hasan
aah kya shikwa karun main hath se us ke hina
jab hui mere lahu ki rang tab dhone laga
Meer Hasan
aah tazim ko uThti hai mere sine se
dil pe jab us ki nigahon ke KHadang aate hain
Meer Hasan
aasan na samajhiyo tum naKHwat se pak hona
ek umr kho ke hum ne sikha hai KHak hona
Meer Hasan

