ye hasrat rah gai kya kya maze se zindagi karte
agar hota chaman apna gul apna baghban apna
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
wabasta meri yaad se kuchh talKHiyan bhi thin
achchha hua ki tum ne faramosh kar diya
Meem Hasan Lateefi
wabasta meri yaad se kuchh talKHiyan bhi thin
achchha kiya ki mujh ko faramosh kar diya
Meem Hasan Lateefi
aabla-pa koi is dasht mein aaya hoga
warna aandhi mein diya kis ne jalaya hoga
Meena Kumari
aaghaz to hota hai anjam nahin hota
jab meri kahani mein wo nam nahin hota
Meena Kumari
ayaadat ko aae shifa ho gai
meri ruh tan se juda ho gai
Meena Kumari
hansi thami hai in aankhon mein yun nami ki tarah
chamak uThe hain andhere bhi raushni ki tarah
Meena Kumari

