ek dard-e-judai ka gham kya karen
kis maraz ki dawa hai tere shahr mein
Mazhar Imam
ek main ne hi ugae nahin KHwabon ke gulab
tu bhi is jurm mein shamil hai mera sath na chhoD
Mazhar Imam
hain chanaron ke chehre bhi jhulse hue
zaKHm sab ka hara hai tere shahar mein
Mazhar Imam
hum ne to darichon pe saja rakkhe hain parde
bahar hai qayamat ka jo manzar to hamein kya
Mazhar Imam
hamein wo hamin se juda kar gaya
baDa zulm is mehrbani mein tha
Mazhar Imam
jab hum tera nam na lenge
wo bhi ek zamana hoga
Mazhar Imam
kaha ye sab ne ki jo war the usi par the
magar ye kya ki badan chur chur mera tha
Mazhar Imam

