aat us bazm mein taswir ke manind the hum
hum se puchhe to koi shama ka jalna kya tha
Meer Ahmad Naved
zaKHm-e-talash mein hai nihan marham-e-dalil
tu apna dil na haar mohabbat bahaal rakh
Meer Ahmad Naved
ab to baaten bhi ho gain mauquf
arini hai na lan-tarani hai
Meer Ali Ausat Rashk
had se guzra jab intizar tera
maut ka hum ne intizar kiya
Meer Ali Ausat Rashk
suna raha hun nakirain ko fasana-e-hijr
sawal un ke juda hain mere jawab juda
Meer Ali Ausat Rashk
aashiq ko dekhte hain dupaTTe ko tan kar
dete hain hum ko sharbat-e-didar chhan ka
Meer Anees
'anis' aasan nahin aabaad karna ghar mohabbat ka
ye un ka kaam hai jo zindagi barbaad karte hain
Meer Anees

