wo mera jab na ho saka to phir yahi saza rahe
kisi ko pyar jab karun wo chhup ke dekhta rahe
Mazhar Imam
hum giraftaron ko ab kya kaam hai gulshan se lek
ji nikal jata hai jab sunte hain aati hai bahaa
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
itni fursat de ki ruKHsat ho len ai sayyaad hum
muddaton is bagh ke saye mein the aazad hum
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
jo tu ne ki so dushman bhi nahin dushman se karta hai
ghalat tha jaante the tujh ko jo hum mehrban apna
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
KHuda ke waste is ko na Toko
yahi ek shahr mein qatil raha hai
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
uswa agar na karna tha aalam mein yun mujhe
aisi nigah-e-naz se dekha tha kyun mujhe
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
us gul ko bhejna hai mujhe KHat saba ke hath
is waste laga hun chaman ki hawa ke hath
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan

