hum se wahshi nahin hone ke giraftar kabhi
log diwane hain zanjir liye phirte hain
Mazaq Badayuni
nikal gaya meri aankhon se misl-e-KHwa-o-KHayal
guzar gaya dil-e-raushan se wo nazar ban ka
Mazaq Badayuni
sat aasman ki sair hai pardon mein aankh ke
aankhen khulin to turfa tamasha nazar paDa
Mazaq Badayuni
waiz buton ke aage na furqan nikaliye
surat se un ki mani-e-quran nikaliye
Mazaq Badayuni
zaban par aah rahi lab se lab kabhu na mila
teri talab to mili kya hua jo tu na mila
Mazaq Badayuni
aap ko mere taaruf ki zarurat kya hai
main wahi hun ki jise aap ne chaha tha kabhi
Mazhar Imam
ab kisi rah pe jalte nahin chahat ke charag
tu meri aaKHiri manzil hai mera sath na chhoD
Mazhar Imam

