na tujh ko mat hui hai na mujh ko mat hui
so ab ke donon hi chaalen badal ke dekhte hain
Ahmad Faraz
naseha tujh ko KHabar kya ki mohabbat kya hai
roz aa jata hai samjhata hai yun hai yun hai
Ahmad Faraz
pahle pahle hawas ik-adh dukan kholti hai
phir to bazar ke bazar se lag jate hain
Ahmad Faraz
qasida hum faqir logon ka
ek Thikana nahin ki tujh se kahen
Ahmad Faraz
qurbaten lakh KHub-surat hon
duriyon mein bhi dilkashi hai abhi
Ahmad Faraz
aat bhar hanste hue taron ne
un ke aariz bhi bhigoe honge
Ahmad Faraz
aat kya soe ki baqi umr ki nind uD gai
KHwab kya dekha ki dhaDka lag gaya tabir ka
Ahmad Faraz