اردو हिंदी
Us ka apna hi karishma hai fusun hai yun hai | Shaahi Shayari
us ka apna hi karishma hai fusun hai yun hai

Ghazal

Us ka apna hi karishma hai fusun hai yun hai

Ahmad Faraz

;

us ka apna hi karishma hai fusun hai yun hai
yun to kahne ko sabhi kahte hain yun hai yun hai

jaise koi dar-e-dil par ho sitada kab se
ek saya na darun hai na barun hai yun hai

tum ne dekhi hi nahin dasht-e-wafa ki taswir
nok-e-har-KHar pe ek qatra-e-KHun hai yun hai

tum mohabbat mein kahan sud-o-ziyan le aae
ishq ka nam KHirad hai na junun hai yun hai

ab tum aae ho meri jaan tamasha karne
ab to dariya mein talatum na sukun hai yun hai

naseha tujh ko KHabar kya ki mohabbat kya hai
roz aa jata hai samjhata hai yun hai yun hai

shairi taza zamanon ki hai meamar 'faraaz'
ye bhi ek silsila-e-kun-fayakun hai yun hai