اردو हिंदी
Muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka | Shaahi Shayari
muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka

Ghazal

Muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka

Ahmad Faraz

;

muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka
baat kar tujh par guman hone laga taswir ka

raat kya soe ki baqi umr ki nind uD gai
KHwab kya dekha ki dhaDka lag gaya tabir ka

kaise paya tha tujhe phir kis tarah khoya tujhe
mujh sa munkir bhi to qael ho gaya taqdir ka

jis tarah baadal ka saya pyas bhaDkata rahe
main ne ye aalam bhi dekha hai teri taswir ka

jaane kis aalam mein tu bichhDa ki hai tere baghair
aaj tak har naqsh fariyaadi meri tahrir ka

ishq mein sar phoDna bhi kya ki ye be-mehr log
ju-e-KHun ko nam de dete hain ju-e-shir ka

jis ko bhi chaha use shiddat se chaha hai 'faraaz'
silsila TuTa nahin hai dard ki zanjir ka