shahr-walon ki mohabbat ka main qael hun magar
main ne jis hath ko chuma wahi KHanjar nikla
Ahmad Faraz
shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-mai-kashi rahi
us ne jo pher li nazar main ne bhi jam rakh diya
Ahmad Faraz
silsile toD gaya wo sabhi jate jate
warna itne to marasim the ki aate jate
Ahmad Faraz
silwaTen hain mere chehre pe to hairat kyun hai
zindagi ne mujhe kuchh tum se ziyaada pahna
Ahmad Faraz
sitam to ye hai ki zalim suKHan-shanas nahin
wo ek shaKHs ki shaer bana gaya mujh ko
Ahmad Faraz
so dekh kar tere ruKHsar o lab yaqin aaya
ki phul khilte hain gulzar ke alawa bhi
Ahmad Faraz
suna hai bole to baaton se phul jhaDte hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Ahmad Faraz