اردو हिंदी
Dukh fasana nahin ki tujhse kahen | Shaahi Shayari
dukh fasana nahin ki tujhse kahen

Ghazal

Dukh fasana nahin ki tujhse kahen

Ahmad Faraz

;

dukh fasana nahin ki tujh se kahen
dil bhi mana nahin ki tujh se kahen

aaj tak apni bekali ka sabab
KHud bhi jaana nahin ki tujh se kahen

be-tarah haal-e-dil hai aur tujh se
dostana nahin ki tujh se kahen

ek tu harf-e-ashna tha magar
ab zamana nahin ki tujh se kahen

qasida hum faqir logon ka
ek Thikana nahin ki tujh se kahen

ai KHuda dard-e-dil hai baKHshish-e-dost
aab-o-dana nahin ki tujh se kahen

ab to apna bhi us gali mein 'faraaz'
aana jaana nahin ki tujh se kahen