sawal karti kai aankhen muntazir hain yahan
jawab aaj bhi hum soch kar nahin aae
Aashufta Changezi
sone se jagne ka talluq na tha koi
saDkon pe apne KHwab liye bhagte rahe
Aashufta Changezi
talash jin ko hamesha buzurg karte rahe
na jaane kaun si duniya mein wo KHazane the
Aashufta Changezi
teri KHabar mil jati thi
shahr mein jab aKHbar na the
Aashufta Changezi
tezi se bitte hue lamhon ke sath sath
jine ka ek azab liye bhagte rahe
Aashufta Changezi
tujh ko bhi kyun yaad rakha
soch ke ab pachhtate hain
Aashufta Changezi
tujh se bichhaDna koi naya hadsa nahin
aise hazaron qisse hamari KHabar mein hain
Aashufta Changezi