اردو हिंदी
Itna kyun sharmate hain | Shaahi Shayari
itna kyun sharmate hain

Ghazal

Itna kyun sharmate hain

Aashufta Changezi

;

itna kyun sharmate hain
wade aaKHir wade hain

likha likhaya dho Dala
sare waraq phir sade hain

tujh ko bhi kyun yaad rakha
soch ke ab pachhtate hain

ret mahal do chaar bache
ye bhi girne wale hain

jaen kahin bhi tujh ko kya
shahr se tere jate hain

ghar ke andar jaane ke
aur kai darwaze hain

ungli pakaD ke sath chale
dauD mein hum se aage hain