اردو हिंदी
KHabar to dur amin-e-KHabar nahin aae | Shaahi Shayari
KHabar to dur amin-e-KHabar nahin aae

Ghazal

KHabar to dur amin-e-KHabar nahin aae

Aashufta Changezi

;

KHabar to dur amin-e-KHabar nahin aae
bahut dinon se wo lashkar idhar nahin aae

ye baat yaad rakhenge talashne wale
jo us safar pe gae lauT kar nahin aae

tilism unghti raaton ka toDne wale
wo muKHbiran-e-sahar phir nazar nahin aae

zarur tujh se bhi ek roz ub jaenge
KHuda kare ki teri rahguzar nahin aae

sawal karti kai aankhen muntazir hain yahan
jawab aaj bhi hum soch kar nahin aae

udas suni si chhat aur do bujhi aankhen
kai dinon se phir 'ashufta' ghar nahin aae