KHwab jitne dekhne hain aaj sare dekh len
kya bharosa kal kahan pagal hawa le jaegi
Aashufta Changezi
kis ki talash hai hamein kis ke asar mein hain
jab se chale hain ghar se musalsal safar mein hain
Aashufta Changezi
na ibtida ki KHabar aur na intiha malum
idhar udhar se suna aur bas uDa lae
Aashufta Changezi
pahle hi kya kam tamashe the yahan
phir nae manzar uTha laya hun main
Aashufta Changezi
saDak pe chalte hue aankhen band rakhta hun
tere jamal ka aisa maza paDa hai mujhe
Aashufta Changezi
sabhi ko apna samajhta hun kya hua hai mujhe
bichhaD ke tujh se ajab rog lag gaya hai mujhe
Aashufta Changezi
safar to pahle bhi kitne kiye magar is bar
ye lag raha hai ki tujh ko bhi bhul jaenge
Aashufta Changezi