shiddat-e-shauq mein kuchh itna use yaad kiya
aaina toD ke taswir nikal aai hai
Manzoor Hashmi
suna hai sachchi ho niyat to rah khulti hai
chalo safar na karen kam se kam irada karen
Manzoor Hashmi
tis chaalis din to kaT diye
aur kitne hain is mahine mein
Manzoor Hashmi
ummid o yas ki rut aati jati rahti hai
magar yaqin ka mausam nahin badalta hai
Manzoor Hashmi
yaqin ho to koi rasta nikalta hai
hawa ki oT bhi le kar charagh jalta hai
Manzoor Hashmi
zindagi kitni hasin kitni baDi neamat hai
aah main hun ki use pa ke bhi sharminda hun
Manzoor Hashmi
main aisi rah pe nikla ki meri KHush-baKHti
tamam umr meri khoj mein bhaTakti rahi
Maqbool Aamir

