اردو हिंदी
Yaqin ho to koi rasta nikalta hai | Shaahi Shayari
yaqin ho to koi rasta nikalta hai

Ghazal

Yaqin ho to koi rasta nikalta hai

Manzoor Hashmi

;

yaqin ho to koi rasta nikalta hai
hawa ki oT bhi le kar charagh jalta hai

safar mein ab ke ye tum the ki KHush-gumani thi
yahi laga ki koi sath sath chalta hai

ghilaf-e-gul mein kabhi chandni ke parde mein
suna hai bhes badal kar bhi wo nikalta hai

likhun wo nam to kaghaz pe phul khilte hain
karun KHayal to paikar kisi ka Dhalta hai

rawan-dawan hai udhar hi tamam KHalq-e-KHuda
wo KHush-KHiram jidhar sair ko nikalta hai

ummid o yas ki rut aati jati rahti hai
magar yaqin ka mausam nahin badalta hai