meri tarif kare ya mujhe bad-nam kare
jis ne jo baat bhi karni hai sar-e-am kare
Maqbool Aamir
mujhe KHud apni nahin us ki fikr lahaq hai
bichhaDne wala bhi mujh sa hi be-sahaara tha
Maqbool Aamir
safar pe niklen magar samt ki KHabar to mile
koi kiran koi jugnu dikhai de to chalen
Maqbool Aamir
teri qurbat mein ye pardes se aaya hua shaKHs
chhoD kar tujh ko kahin aur bhi ja sakta hai
Maqbool Husain Syed Karnal
kya meri tarah KHanaman-barbaad ho tum bhi
kya baat hai tum ghar ka pata kyun nahin dete
Maqbool Naqsh
mujhe ye zoam ki main husn ka musawwir hun
unhen ye naz ki taswir to hamari hai
Maqbool Naqsh
patthar bhi chaTaKHte hain to de jate hain aawaz
dil TuT rahe hain to sada kyun nahin dete
Maqbool Naqsh

