qafas mein jab zara jhapki meri aankh
yahi dekha nasheman jal raha hai
Manzar Lakhnavi
sada waraq jawab mein ek la ke de gaya
diwana jaanta hai mera nama-bar mujhe
Manzar Lakhnavi
sajde karta ja raha hun ku-e-jaanan ki taraf
rasta batla rahi hai meri peshani mujhe
Manzar Lakhnavi
shab-e-hijr yun dil ko bahla rahe hain
ki din bhar ki biti ko dohra rahe hain
Manzar Lakhnavi
tafriq husn-o-ishq ke andaz mein na ho
lafzon mein farq ho magar aawaz mein na ho
Manzar Lakhnavi
un ko hansa rahi hai jama-dari hamari
parwan chaDh rahi hai diwangi hamari
Manzar Lakhnavi
waiz se na puchhunga kabhi masala-e-ishq
main KHub samajhta hun jo irshad karenge
Manzar Lakhnavi

