KHushbu se kis zaban mein baaten karenge log
mahfil mein ye sawal tujhe dekh kar hua
Mansoor Usmani
mujh se dilli ki nahin dil ki kahani suniye
shahr to ye bhi kai bar luTa hai mujh mein
Mansoor Usmani
pahle to us ki yaad ne sone nahin diya
phir us ki aahaTon ne kaha jagte raho
Mansoor Usmani
shabnam ki jagah aag ki barish ho magar hum
'mansur' na mangenge dua aur tarah ki
Mansoor Usmani
ye alag baat ki alfaz hain mere lekin
sach to bas ye hai ki teri hi sada hai mujh mein
Mansoor Usmani
ajib wajh-e-mulaqat thi meri us se
ki wo bhi meri tarah shahr mein akela tha
Mansoora Ahmad
main us ko kho ke bhi us ko pukarti hi rahi
ki sara rabt to aawaz ke safar ka tha
Mansoora Ahmad

