KHud ko poshida na rakkho band kaliyon ki tarah
phul kahte hain tumhein sab log to mahka karo
Manzar Bhopali
koi taKHliq ho KHun-e-jigar se janm leti hai
kahani likh nahin sakte kahani mangne wale
Manzar Bhopali
safar ke bich ye kaisa badal gaya mausam
ki phir kisi ne kisi ki taraf nahin dekha
Manzar Bhopali
unhin pe sare masaib ka bojh rakkha hai
jo tere shahr mein iman le ke aae hain
Manzar Bhopali
ye ashk tere mere raegan na jaenge
unhin charaghon se raushan mohabbaten hongi
Manzar Bhopali
ye kirdaron ke gande aaine apne hi ghar rakhiye
yahan par kaun kitna parsa hai hum samajhte hain
Manzar Bhopali
aap ki yaad mein roun bhi na main raaton ko
hun to majbur magar itna bhi majbur nahin
Manzar Lakhnavi

