wo lala-badan jhil mein utra nahin warna
shoale mutawatir isi pani se nikalte
Mahfuzur Rahman Adil
wo meri aawaragardi wo mera diwana-pan
wo meri tazim mein diwar-o-dar ka jagna
Mahfuzur Rahman Adil
ye bhi hai mara hua saqi ki chashm-e-naz ka
is liye 'adil' ko shishe ki pari achchhi lagi
Mahfuzur Rahman Adil
zindagi ko hausla dene ke KHatir
KHwahishon ko reza reza chun raha hun
Mahfuzur Rahman Adil
agar KHamosh rahun main to tu hi sab kuchh hai
jo kuchh kaha to tera husn ho gaya mahdud
Mahirul Qadri
aql kahti hai dobara aazmana jahl hai
dil ye kahta hai fareb-e-dost khate jaiye
Mahirul Qadri
ek bar tujhe aql ne chaha tha bhulana
sau bar junun ne teri taswir dikha di
Mahirul Qadri

