teri aql gum tujhe kar na de rah-e-zindagi mein sambhal ke chal
tu guman ki had na talash kar ki kahin bhi hadd-e-guman nahin
Mahfuzur Rahman Adil
tumhaare baKHshe hue aansuon ke qatron se
shab-e-firaq mein tare saja raha hun main
Mahfuzur Rahman Adil
tumhaari mast aankhon ka tasawwur
meri tauba se Takrane laga hai
Mahfuzur Rahman Adil
un safinon ki tabahi mein hai ibrat ka sabaq
jo kinare tak pahunch kar nazr-e-tufan ho gae
Mahfuzur Rahman Adil
usi ne baKHsha hai mujh ko shuur jine ka
jo mushkilon ki ghaDi bar bar aai hai
Mahfuzur Rahman Adil
waqt ki gardishon ka gham na karo
hausle mushkilon mein palte hain
Mahfuzur Rahman Adil
wo jaga kar hum ko sab KHush-manzari le jaega
KHwab kya hai KHwab ki tabir bhi le jaega
Mahfuzur Rahman Adil

