اردو हिंदी
Tumne likkha hai likho kaisa hun main | Shaahi Shayari
tumne likkha hai likho kaisa hun main

Ghazal

Tumne likkha hai likho kaisa hun main

Aashufta Changezi

;

tum ne likkha hai likho kaisa hun main
doston ki bhiD hai tanha hun main

yasmin o nastaran mera pata
KHushbuon ke jism par likha hun main

pahle hi kya kam tamashe the yahan
phir nae manzar uTha laya hun main

phir wahi mausam purane ho gae
din Dhale sargoshiyan sunta hun main

kaun utarti chaDhti sanson ka amin
saya-e-diwar se lipTa hun main

tu kabhi is shahr se ho kar guzar
raston ke jal mein uljha hun main

wo meri KHush-fahmiyan sab kya huin
jaane kab se be-hunar zinda hun main