ye tera taj nahin hai hamari pagDi hai
ye sar ke sath hi utregi sar ka hissa hai
Khushbir Singh Shaad
zara ye dhup Dhal jae to un ka haal puchhenge
yahan kuchh sae apne aap ko paikar batate hain
Khushbir Singh Shaad
galiyan ghair se sunate ho
han miyan aur tum se kya hoga
Khwaja Aminuddin Ameen
main dar-guzra sahib-salamat se bhi
KHuda ke liye itna barham na ho
Khwaja Aminuddin Ameen
subh gar subh-e-qayamat ho to kuchh parwa nahin
hijr ki jab raat aisi be-qarari mein kaTi
Khwaja Aminuddin Ameen
har tamanna dil se ruKHsat ho gai
ab to aa ja ab to KHalwat ho gai
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
hum tera naza talak jaur sahe jate hain
yaad aaenge bahut itna kahe jate hain
Khwaja Meer Amani

