اردو हिंदी
Na chashm-e-tar batati hai na zaKHm-e-sar batate hain | Shaahi Shayari
na chashm-e-tar batati hai na zaKHm-e-sar batate hain

Ghazal

Na chashm-e-tar batati hai na zaKHm-e-sar batate hain

Khushbir Singh Shaad

;

na chashm-e-tar batati hai na zaKHm-e-sar batate hain
wo ek rudad jo sahme hue ye ghar batate hain

main apne aansuon par is liye qabu nahin rakhta
ki mere dil ki haalat mujh se ye behtar batate hain

unhen dil ki sadaon par bhala kaise yaqin hoga
ye aankhen to wahi sunti hain jo manzar batate hain

yaqinan phir kisi ne jurat-e-parwaz ki hogi
yahan chaaron taraf bikhre hue ye par batate hain

kahan gum ho gaya hai raste mein wo musafir bhi
na kuchh rahzan batate hain na kuchh rahbar batate hain

zara ye dhup Dhal jae to un ka haal puchhenge
yahan kuchh sae apne aap ko paikar batate hain

tujhe bhi 'shad' apni zat se bahar nikalna hai
sadaf ki qaid se nikle hue gauhar batate hain