اردو हिंदी
Bahut dinon se mere baam-o-dar ka hissa hai | Shaahi Shayari
bahut dinon se mere baam-o-dar ka hissa hai

Ghazal

Bahut dinon se mere baam-o-dar ka hissa hai

Khushbir Singh Shaad

;

bahut dinon se mere baam-o-dar ka hissa hai
meri tarah ye udasi bhi ghar ka hissa hai

phir is ke baad hawa aur us ka rahm o karam
abhi talak to ye patta shajar ka hissa hai

zarur dil se koi rabta hai aankhon ka
isi liye to lahu chashm-e-tar ka hissa hai

ye tera taj nahin hai hamari pagDi hai
ye sar ke sath hi utregi sar ka hissa hai

na jaane 'shad' teri kab samajh mein aaega
ki ab zamir-faroshi hunar ka hissa hai