hath uThta nahin hai dil se 'KHumar'
hum unhen kis tarah salam karen
Khumar Barabankavi
hum pe guzra hai wo bhi waqt 'KHumar'
jab shanasa bhi ajnabi se mile
Khumar Barabankavi
haTae the jo rah se doston ki
wo patthar mere ghar mein aane lage hain
Khumar Barabankavi
ilahi mere dost hon KHairiyat se
ye kyun ghar mein patthar nahin aa rahe hain
Khumar Barabankavi
jalte diyon mein jalte gharon jaisi zau kahan
sarkar raushni ka maza hum se puchhiye
Khumar Barabankavi
jhunjhlae hain lajae hain phir muskurae hain
kis ehtimam se unhen hum yaad aae hain
Khumar Barabankavi
kahin sher o naghma ban ke kahin aansuon mein Dhal ke
wo mujhe mile to lekin kai suraten badal ke
Khumar Barabankavi

