اردو हिंदी
Wahi phir mujhe yaad aane lage hain | Shaahi Shayari
wahi phir mujhe yaad aane lage hain

Ghazal

Wahi phir mujhe yaad aane lage hain

Khumar Barabankavi

;

wahi phir mujhe yaad aane lage hain
jinhen bhulne mein zamane lage hain

wo hain pas aur yaad aane lage hain
mohabbat ke hosh ab Thikane lage hain

suna hai hamein wo bhulane lage hain
to kya hum unhen yaad aane lage hain

haTae the jo rah se doston ki
wo patthar mere ghar mein aane lage hain

ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamane lage hain

hawaen chalin aur na maujen hi uTThin
ab aise bhi tufan aane lage hain

qayamat yaqinan qarib aa gai hai
'KHumar' ab to masjid mein jaane lage hain