اردو हिंदी
Hansne wale ab ek kaam karen | Shaahi Shayari
hansne wale ab ek kaam karen

Ghazal

Hansne wale ab ek kaam karen

Khumar Barabankavi

;

hansne wale ab ek kaam karen
jashn-e-girya ka ehtimam karen

hum bhi kar len jo raushni ghar mein
phir andhere kahan qayam karen

mujh ko mahrumi-e-nazzara qubul
aap jalwe na apne aam karen

ek guzarish hai hazrat-e-naseh
aap ab aur koi kaam karen

aa chalen us ke dar pe ab ai dil
zindagi ka safar tamam karen

hath uThta nahin hai dil se 'KHumar'
hum unhen kis tarah salam karen