ye mere jazb-e-nihan ka hai moajaza shayad
ki dil mein jhank ke dekhun to tu hi tu nikle
Khawar Ludhianvi
kabhi main Dhalta hun kaghaz pe naqsh ki surat
main lafz ban ke kisi ki zaban mein tairta hun
Khawar Naqvi
main kyun kahun ki zamana nahin hai ras mujhe
main dekhta hun zamane ko ras main bhi nahin
Khawar Rizvi
har taraf KHunin bhanwar har samt chiKHon ke azab
mauj-e-gul bhi ab ke dozaKH ki hawa se kam na thi
Khayal Amrohvi
ab in hudud mein laya hai intizar mujhe
wo aa bhi jaen to aae na aitabar mujhe
Khumar Barabankavi
aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi
jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi
Khumar Barabankavi
aql o dil apni apni kahen jab 'KHumar'
aql ki suniye dil ka kaha kijiye
Khumar Barabankavi

