ab meri tanhai bhi mujh se baghawat kar gai
kal yahan jo kuchh hua tha sab fasana ho gaya
Khalid Ghani
lakiren piTne walon ko 'KHalid'
lakiron par hansi aane lagi hai
Khalid Ghani
mere suluk ki qimat yahin ada kar de
mujhe gunah ki lazzat se aashna kar de
Khalid Ghani
ang KHushbu aur mausam ka bahana ho gaya
apni hi taswir mein chehra purana ho gaya
Khalid Ghani
ahut hain sajda-gahen par dar-e-jaanan nahin milta
hazaron dewta hain har taraf insan nahin milta
Khalid Hasan Qadiri
ghuTan to dil ki rahi qasr-e-marmarin mein bhi
na raushni se hua kuchh na kuchh hawa se hua
Khalid Hasan Qadiri
kis se puchhen ki hum kidhar jaen
yaad ab hum ko wo gali hi nahin
Khalid Hasan Qadiri

