thak thak ke teri rah mein yun baiTh gaya hun
goya ki bas ab mujh se safar ho nahin sakta
Kashfi Multani
zamana aaya kuchh aisa ki ab to har ghar mein
laTak rahi hai masarrat nazir ki taswi
Kashfi Multani
dhup sae ki tarah phail gai
in daraKHton ki dua lene se
Kashif Husain Ghair
hamare dil ki tarah shahr ke ye raste bhi
hazar bhed chhupae hue se lagte hain
Kashif Husain Ghair
hamari zindagi par maut bhi hairan hai 'ghaer'
na jaane kis ne ye tariKH-e-paidaish nikali hai
Kashif Husain Ghair
ek din dukh ki shiddat kam paD jati hai
kaisi bhi ho wahshat kam paD jati hai
Kashif Husain Ghair
in sitaron mein kahin tum bhi ho
in nazaron mein kahin main bhi hun
Kashif Husain Ghair

