kal raat jagati rahi ek KHwab ki duri
aur nind bichhati rahi bistar mere aage
Kashif Husain Ghair
kuchh aisi bhi dil ki baaten hoti hain
jin baaton ko KHalwat kam paD jati hai
Kashif Husain Ghair
kuchh der baiTh jaiye diwar ke qarib
kya kah raha hai saya-e-diwar jaaniye
Kashif Husain Ghair
kya chahti hai hum se hamari ye zindagi
kya qarz hai jo hum se ada ho nahin raha
Kashif Husain Ghair
kya kahen aur dil ke bare mein
hum mulazim hain is idare mein
Kashif Husain Ghair
maut ka kya kaam jab is shahr mein
zindagi jaisi bala maujud hai
Kashif Husain Ghair
mere andar ka shor hai mujh mein
warna bahar to KHamushi hai yahan
Kashif Husain Ghair

