اردو हिंदी
Ek din dukh ki shiddat kam paD jati hai | Shaahi Shayari
ek din dukh ki shiddat kam paD jati hai

Ghazal

Ek din dukh ki shiddat kam paD jati hai

Kashif Husain Ghair

;

ek din dukh ki shiddat kam paD jati hai
kaisi bhi ho wahshat kam paD jati hai

sahra mein aa nikle to malum hua
tanhai ko wusat kam paD jati hai

apne aap se milta hun main fursat mein
aur phir mujh ko fursat kam paD jati hai

kuchh aisi bhi dil ki baaten hoti hain
jin baaton ko KHalwat kam paD jati hai

ek din yun hota hai KHush rahte rahte
KHush rahne ki aadat kam paD jati hai

zinda rahne ka nashsha hi aisa hai
kitni bhi ho muddat kam paD jati hai

kashif-'ghaer' dil ka qarz chukane mein
duniya bhar ki daulat kam paD jati hai