zindagi shayad isi ka nam hai
duriyan majburiyan tanhaiyan
Kaif Bhopali
tujhe kya bataun main be-KHabar ki hai dard-e-ishq mein kya asar
ye hai wo latif si kaifiyat jo zaban tak aae ada na ho
Kaif Ikrami
ab jis taraf se chahe guzar jae karwan
viraniyan to sab mere dil mein utar gain
Kaifi Azmi
ahaar aae to mera salam kah dena
mujhe to aaj talab kar liya hai sahra ne
Kaifi Azmi
as ek jhijak hai yahi haal-e-dil sunane mein
ki tera zikr bhi aaega is fasane mein
Kaifi Azmi
asti mein apni hindu musalman jo bas gae
insan ki shakl dekhne ko hum taras gae
Kaifi Azmi
elche lao kholo zamin ki tahen
main kahan dafn hun kuchh pata to chale
Kaifi Azmi

