اردو हिंदी
Kya jaane kis ki pyas bujhane kidhar gain | Shaahi Shayari
kya jaane kis ki pyas bujhane kidhar gain

Ghazal

Kya jaane kis ki pyas bujhane kidhar gain

Kaifi Azmi

;

kya jaane kis ki pyas bujhane kidhar gain
is sar pe jhum ke jo ghaTaen guzar gain

diwana puchhta hai ye lahron se bar bar
kuchh bastiyan yahan thin batao kidhar gain

ab jis taraf se chahe guzar jae karwan
viraniyan to sab mere dil mein utar gain

paimana TuTne ka koi gham nahin mujhe
gham hai to ye ki chandni raaten bikhar gain

paya bhi un ko kho bhi diya chup bhi ho rahe
ek muKHtasar si raat mein sadiyan guzar gain