اردو हिंदी
Khaar-o-KHas to uThen rasta to chale | Shaahi Shayari
Khaar-o-KHas to uThen rasta to chale

Ghazal

Khaar-o-KHas to uThen rasta to chale

Kaifi Azmi

;

KHar-o-KHas to uThen rasta to chale
main agar thak gaya qafila to chale

chand suraj buzurgon ke naqsh-e-qadam
KHair bujhne do un ko hawa to chale

hakim-e-shahr ye bhi koi shahr hai
masjiden band hain mai-kada to chale

us ko mazhab kaho ya siyasat kaho
KHud-kushi ka hunar tum sikha to chale

itni lashen main kaise uTha paunga
aap inTon ki hurmat bacha to chale

belche lao kholo zamin ki tahen
main kahan dafn hun kuchh pata to chale