soz-e-gham de ke mujhe us ne ye irshad kiya
ja tujhe kashmakash-e-dahr se aazad kiya
Josh Malihabadi
subut hai ye mohabbat ki sada-lauhi ka
jab us ne wada kiya hum ne e'tibar kiya
Josh Malihabadi
tabassum ki saza kitni kaDi hai
gulon ko khil ke murjhana paDa hai
Josh Malihabadi
us ne wada kiya hai aane ka
rang dekho gharib KHane ka
Josh Malihabadi
wahan se hai meri himmat ki ibtida wallah
jo intiha hai tere sabr aazmane ki
Josh Malihabadi
wo karen bhi to kin alfaz mein tera shikwa
jin ko teri nigah-e-lutf ne barbaad kiya
Josh Malihabadi
zara aahista le chal karwan-e-kaif-o-masti ko
ki sath-e-zehn-e-alam saKHt na-hamwar hai saqi
Josh Malihabadi

