kis tarah dur hon aalam-e-gharib-ul-watani
zindagi KHud bhi gharib-ul-watani hoti hai
Josh Malsiani
mohabbat kahan ye to bechaargi hai sitam bhi sahen phir karam is ko samjhen
ye jabr is liye kar liya hai gawara ki is ke siwa koi chaara na dekha
Josh Malsiani
naqsh-e-ulfat miT gaya to dagh-e-ulfat hain bahut
shukr kar ai dil ki tere ghar ki daulat ghar mein hai
Josh Malsiani
pi loge to ai shaiKH zara garm rahoge
ThanDa hi na kar den kahin jannat ki hawaen
Josh Malsiani
soz-e-gham hi se meri aankh mein aansu aae
sochta hun ki ise aag kahun ya pani
Josh Malsiani
un ke aane ki KHushi kya chiz thi
is KHushi se aur gham paida hua
Josh Malsiani
wahi marne ki tamanna wahi jine ki hawas
na jafaen tumhein aain na wafaen aain
Josh Malsiani

